Revelation Of Truth In Hindi

Hiii Reader...
Are Very Welcome In Our Blog. And Thanks As Well, Because You Have Given Us Your Precious Time. I Make Articles Medium For Expressing Some And Some Unimpressed Feelings Of Life, I Hope You Like My Hard Work .

Revelation Of Truth In Hindi,truth, revelation, intellect, intellectual, mind, spirit

(Revelation Of Truth)

Sansaar ki sabhi vyavasthaaon ka koi mukhiyaa ya niyantrakk hota hai jo us vyavastha ki dekhrekh karta rehta hai aur aakhir use thik karta hai. sansaar ki praakritikk, saamaajik, paarivaarik vyavasthaon ka mukhiya to ham dekhte hain aur jaante hain lekin sansaar ka mukhiya kaun hai jo sansaar ko punah banaane ka kaary karta hai ? us jagatniyantaa ko hi paramshakti parmaatma kehte hain. har vyavastha ki mool aur mukhy ko hi moolbhoot baaton ka pataa hota hai, anya sabhi to us vishay ki anumaanit baat hi bataayenge. ab tak jagatniyati ke vibhinn pehluon par jinhonne prakaash daala vo anumaanit hi tha ya to kahen yatha chintan/saadhana hi tha. vah poorn satya nahin tha isliye sarvsvikrit nahin hua. anek mateinn hui atah aaj tak suttt ulajhaa hua hi rahaa.

Khud Aate Hain Khuda
Yathaarth satya ki apni ek shakti hoti hai jo abhyaas mein aate hi anubhav hoti hai aur thhoss parinaam nikaalakar deti hai. ab tak maanav man ke, janjeevan ke, samaaj-sansaar ke rog, shok, dukh-dard, vikaar-vikrti khatm nahin hue hain, itne vibhinn maton, prayogon, prayaason ko aajmaane ke baavjood bhi. iska matlab to yehi hua ki ab tak hamne jeevan ya jagat ki vyavastha ko thik karne hetu jo kuchh kiyaa vo thhos saty par aadhaarit nahin tha. jagatniyati ke satyon ka spashtikaran jagatniyantrakk parmaatma hi karte hain. iske liye ve khud aate hain tab to khuda kahe jaate hain.

Sanaatan Satyon Ka Gyaan Parmaatma Dwaara
Insaan svayamm kabhi bhi svayamm ke baare mein satya talaash nahin sakta hai. jeevan aur jagat ke sabhi sanaatan satyon ka gyaan param satya permaatma aakar bataate hain. tabhi to unke srishti par avatarann ki baaten kahi gayi hai. yadiii manushy khud saadhaaran aatma ke roop mein ya mahaatma, dharmaatma, punyaatma ya devaatma ke roop mein satya talaash sakta to fir permaatma ke avataritt hone ki kya aavashyakta rehti? satya ka prakaash param satya permaatma hi failaate hain. isliye hi ham use andhakaar se prakaash ki or, asaty se param saty ki or, mrityu se amrit ki or le jaane vaala kehte hain. yah anubhooti hrr aatma ne ki hai, vah anubhooti usmen gaharayii se samayii hue hai tab ham ishvar ko sarvagy, gyaansaagar kehte hain varna hamne kaise jaana ki permaatma gyaan ka saagar hai.

Revelation Of Truth In Hindi

Aakhri Faislaa Ishwarrr Kaa
Maan lena alag baat hai, sachmuch satya hona alag baat hai. ham keh sakte hain ki na dharm poorn satya bataata hai na vigyaan poorn saty bataata hai kyonki donon maanav man ki upaj hai aur donon nirantar prayaasrat hai.
Isiliye aakhari faisla ishvar prr chhhoda jaata hai. vo  purn nyaay krr sakte hain. asaty ka andhera jab ghanaa ho jaata hai, saty ki tanik bhi kiran najar nahin aati, saty naamsheshh rah jaata hai tab permaatma ka sooryoday hotaa hai aur permaatma se milane ke liye hamen khud se hi judna padegaa tab hamen sadgatii praaapt hogiiiii.


Thanks For Reading & Your Valuable Time Please tell us by commenting for any type of post & if you enjoyed this post then please share it .

No comments:

Post a Comment

© 2019 - | DIGITAL SOLUTIONS | All Right Reserved